kis gul ki bu hai daman-e-dil mein basi hui
chalti hai chheDti hui baad-e-saba mujhe
Arzoo Lakhnavi
kis kaam ki aisi sachchai jo toD de ummiden dil ki
thoDi si tasalli ho to gai mana ki wo bol ke jhuT gaya
Arzoo Lakhnavi
kis ne bhige hue baalon se ye jhaTka pani
jhum ke aai ghaTa TuT ke barsa pani
Arzoo Lakhnavi
kuchh kahte kahte ishaaron mein sharma ke kisi ka rah jaana
wo mera samajh kar kuchh ka kuchh jo kahna na tha sab kah jaana
Arzoo Lakhnavi
kuchh to mil jae lab-e-shirin se
zahr khane ki ijazat hi sahi
Arzoo Lakhnavi
lalach bhari mohabbat nazron se gir na jae
bad-e'tiqad dil ki jhuTi namaz ho ka
Arzoo Lakhnavi
masum nazar ka bhola-pan lalcha ke lubhana kya jaane
dil aap nishana banta hai wo tir chalana kya jaane
Arzoo Lakhnavi