jis qadar nafrat baDhai utni hi qurbat baDhi
ab jo mahfil mein nahin hai wo tumhaare dil mein hai
Arzoo Lakhnavi
jitne husn-abaad mein pahonche hosh-o-KHirad kho kar pahonche
mal bhi to utne ka nahin ab jitna kuchh mahsul paDa
Arzoo Lakhnavi
jo dil rakhte hain sine mein wo kafir ho nahin sakte
mohabbat din hoti hai wafa iman hoti hai
Arzoo Lakhnavi
jo kan laga kar sunte hain kya jaanen rumuz mohabbat ke
ab honT nahin hilne pate aur pahron baaten hoti hain
Arzoo Lakhnavi
josh-e-junun mein wo tere wahshi ka chiKHna
band apne hath se dar-e-zindan kiye hue
Arzoo Lakhnavi
kah ke ye aur kuchh kaha na gaya
ki mujhe aap se shikayat hai
Arzoo Lakhnavi
kam jo Thahre jafa se meri wafa
to ye pasang hai taraazu ka
Arzoo Lakhnavi