nigah-e-naz ki masumiyat are tauba
jo hum fareb na khate to aur kya karte
Arshi Bhopali
hamari mahfilon mein be-hijab aane se kya hoga
nahin jab hosh mein hum jalwa farmane se kya hoga
Arshi Rampuri
aap apne se barhami kaisi
main nahin koi aur hai ye bhi
Arzoo Lakhnavi
'arzu' jam lo jhijak kaisi
pi lo aur dahshat-e-gunah gai
Arzoo Lakhnavi
allah allah husn ki ye parda-dari dekhiye
bhed jis ne kholna chaha wo diwana hua
Arzoo Lakhnavi
apni apni gardish-e-raftar puri kar to len
do sitare phir kisi din ek ja ho jaenge
Arzoo Lakhnavi
awwal-e-shab wo bazm ki raunaq shama bhi thi parwana bhi
raat ke aaKHir hote hote KHatm tha ye afsana bhi
Arzoo Lakhnavi