dhaare se kabhi kashti na haTi aur sidhi ghaT par aa pahunchi
sab bahte hue dariyaon ke kya do hi kinare hote hain
Arzoo Lakhnavi
dil ki zid is liye rakh li thi ki aa jae qarar
kal ye kuchh aur kahega mujhe malum na tha
Arzoo Lakhnavi
do tund hawaon par buniyaad hai tufan ki
ya tum na hasin hote ya mein na jawan hota
Arzoo Lakhnavi
dost ne dil ko toD ke naqsh-e-wafa miTa diya
samjhe the hum jise KHalil kaba usi ne Dha diya
Arzoo Lakhnavi
ek dil patthar bane aur ek dil ban jae mom
aaKHir itna farq kyun taqsim-e-ab-o-gil mein hai
Arzoo Lakhnavi
faza mahdud kab hai ai dil-e-wahshi falak kaisa
nilahaT hai nazar ki dekhte hain jo nigahon se
Arzoo Lakhnavi
hath se kis ne saghar paTka mausam ki be-kaifi par
itna barsa TuT ke baadal Dub chala mai-KHana bhi
Arzoo Lakhnavi