had se Takraati hai jo shai wo palaTti hai zarur
KHud bhi roenge gharibon ko rulane wale
Arzoo Lakhnavi
hai mohabbat aisi bandhi girah jo na ek hath se khul sake
koi ahd toDe kare dagha mera farz hai ki wafa karun
Arzoo Lakhnavi
halka tha nadamat se sarmaya ibaadat ka
ek qatre mein bah nikle tasbih ke sau dane
Arzoo Lakhnavi
hum ko itna bhi rihai ki KHushi mein nahin hosh
TuTi zanjir ki KHud panw hamara TuTa
Arzoo Lakhnavi
hamari nakaami-e-wafa ne zamane ki khol di hain aankhen
charagh kab ka bujha paDa hai magar andhera kahin nahin hai
Arzoo Lakhnavi
har ek sham kahti hai phir subh hogi
andhere mein suraj nazar aa raha hai
Arzoo Lakhnavi
har nafas ek sharab ka ho ghunT
zindagani haram hai warna
Arzoo Lakhnavi