jab main us aadmi se dur hua
gham meri zindagi se dur hua
Arshad Lateef
KHala ka masala hi muKHtalif hai
samundar is qadar gahra nahin hai
Arshad Lateef
kis ke sawal par ye dil rota hai sari sari raat
kaun habib hai mera tere KHayal ke siwa
Arshad Lateef
koi to moajaza aisa bhi ho apni mohabbat mein
tere inkar se iqrar ki surat nikal aae
Arshad Lateef
phailti ja rahi hai ye duniya
jashn-e-awargi manane mein
Arshad Lateef
sabhi tabir us ki likh rahe hain
kisi ne bhi use dekha nahin hai
Arshad Lateef
apna kya hai ki rahe ya na rahe
han magar teri zarurat hain hum
Arshad Mahmood Nashad