hamein miT ke bhi ye hasrat ki bhaTakte us gali mein
wo hain kaise log ya rab jo qayam chahte hain
Arshad Siddiqui
ho intizar kisi ka magar meri nazren
na jaane kyun teri aamad ki rah takti hain
Arshad Siddiqui
ajib chiz hai ye shauq-e-arzu-mandi
hayat miT ke rahi dil KHarab ho ke raha
Arshi Bhopali
ahut aziz na kyun ho ki dard hai tera
ye dard baDh ke raha iztirab ho ke raha
Arshi Bhopali
hum to aawara-e-sahra hain hamein kya matlab
un ki mahfil mein junun ki koi tauqir sahi
Arshi Bhopali
hamein to apni tabahi ki dad bhi na mili
teri nawazish-e-beja ka kya gila karte
Arshi Bhopali
mauquf fasl-e-gul pe nahin raunaq-e-chaman
nazren jawan hon to KHizan bhi bahaar hai
Arshi Bhopali