hisar-e-ghair mein rahta hai ye makan-e-wajud
main KHalwaton mein bhi akasr azab dekhta hun
Arshad Mahmood Nashad
main tere shahr se guzra hun bagule ki tarah
apni duniya mein magan apne KHayalat mein gum
Arshad Mahmood Nashad
talash-e-la-makan mein uD raha hun
magar mujh se makan lipTa hua hai
Arshad Mahmood Nashad
ghurub-e-sham to din bhar ke fasle par hai
kiran tulu ki utri hai jagmagati phire
Arshad Malik
main wusaton se bichhaD ke tanha na ji sakunga
mujhe na roko mujhe samundar bula raha hai
Arshad Nayeem
sham Dhalte hi dil ke aangan se
dard ka karwan guzarta hai
Arshad Nayeem
faza hai tera o tarik aur us ka KHayal
na jaane kaun si duniya mein ja ke soya hai
Arshad Siddiqui