juda hogi kasak dil se na us ki
juda hote hue achchha laga tha
Anwar Masood
main apne dushmanon ka kis qadar mamnun hun 'anwar'
ki un ke shar se kya kya KHair ke pahlu nikalte hain
Anwar Masood
main ne 'anwar' is liye bandhi kalai par ghaDi
waqt puchhenge kai mazdur bhi raste ke bich
Anwar Masood
masjid ka ye maik jo uTha lae ho ai 'anwar'
kya jaaniye kis waqt azan dene lagega
Anwar Masood
nazdik ki ainak se use kaise main DhunDun
jo dur ki ainak hai kahin dur paDi hai
Anwar Masood
nursery ka daKHila bhi sarsari mat jaaniye
aap ke bachche ko aflatun hona chahiye
Anwar Masood
palkon ke sitare bhi uDa le gai 'anwar'
wo dard ki aandhi ki sar-e-sham chali thi
Anwar Masood