aat aai hai balaon se rihai degi
ab na diwar na zanjir dikhai degi
Anwar Masood
sath us ke koi manzar koi pas-e-manzar na ho
is tarah main chahta hun us ko tanha dekhna
Anwar Masood
sirf mehnat kya hai 'anwar' kaamyabi ke liye
koi upar se bhi telephone hona chahiye
Anwar Masood
sochta hun ki bujha dun main ye kamre ka diya
apne sae ko bhi kyun sath jagaun apne
Anwar Masood
urdu se ho kyun bezar english se kyun itna pyar
chhoDo bhi ye raTTa yar twinkle twinkle little sta
Anwar Masood
wahan zer-e-bahs aate KHat-o-KHal o KHu-e-KHuban
gham-e-ishq par jo 'anwar' koi seminar hota
Anwar Masood
diwangi ki aisi milegi kahan misal
kanTe KHaridta hun gulabon ke shahr mein
Anwar Minai