Dube hue taron pe main kya ashk bahata
chaDhte hue suraj se meri aankh laDi thi
Anwar Masood
han mujhe urdu hai punjabi se bhi baDh kar aziz
shukr hai 'anwar' meri sochen ilaqai nahin
Anwar Masood
hamein qarina-e-ranjish kahan mayassar hai
hum apne bas mein jo hote tera gila karte
Anwar Masood
idhar se liya kuchh udhar se liya
yunhi chal rahe hain idare tere
Anwar Masood
is waqt wahan kaun dhuan dekhne jae
aKHbar mein paDh lenge kahan aag lagi thi
Anwar Masood
jaane kis rang se ruThegi tabiat us ki
jaane kis Dhang se ab us ko manana hoga
Anwar Masood
jo hansna hansana hota hai
rone ko chhupana hota hai
Anwar Masood