shahr ki galiyon aur saDkon par phirte hain mayusi mein
kash koi 'anwar' se puchhe aise be-ghar kitne hain
Anwar Jamal Anwar
tumhaare dil mein koi aur bhi hai mere siwa
guman to hai zara sa magar yaqin nahin
Anwar Jamal Anwar
aaina dekh zara kya main ghalat kahta hun
tu ne KHud se bhi koi baat chhupa rakkhi hai
Anwar Masood
aankhen bhi hain rasta bhi charaghon ki ziya bhi
sab kuchh hai magar kuchh bhi sujhai nahin deta
Anwar Masood
aasman apne iradon mein magan hai lekin
aadmi apne KHayalat liye phirta hai
Anwar Masood
aastinon ki chamak ne hamein mara 'anwar'
hum to KHanjar ko bhi samjhe yad-e-baiza hoga
Anwar Masood
ai dil-e-nadan kisi ka ruThna mat yaad kar
aan Tapkega koi aansu bhi is jhagDe ke bich
Anwar Masood