itna sannaTa hai kuchh bolte Dar lagta hai
sans lena bhi dil o jaan pe giran hai ab ke
Anvar Mahmood Khalid
jo ho saka na mera us ko bhul jaun main
parai aag mein kyun ungliyan jalaun main
Anvar Mahmood Khalid
aankhon mein ghul na jaen kahin zulmaton ke rang
jis samt raushni hai udhar dekhte raho
Anvar Moazzam
aao dekhen ahl-e-wafa ki hoti hai tauqir kahan
kis mahfil ka nam hai maqtal khinchti hai shamshir kahan
Anvar Moazzam
dhuan uThta nazar aata hai har-su
abhi aabaad hai virana dil ka
Anvar Moazzam
dilon ki aag baDhao ki log kahte hain
charagh-e-husn se raushan jahan nahin hota
Anvar Moazzam
ek aawaz to gunji thi ufuq-ta-ba-ufuq
karwan gum hai kahan gard-e-safar se puchho
Anvar Moazzam