jo kar rahe the zamane se gumrahi ka safar
unhin ke nam kiya haq ne bandagi ka safa
Anvar Kaifi
meri qismat ki kashti bahr-e-gham mein Dub sakti thi
teri taqdir se shayad meri taqdir ubhri hai
Anvar Kaifi
ah-e-hayat mein shayad hi wo maqam aae
ki naghma-ha-e-junun par sukut tari ho
Anvar Kaifi
ye daur mohabbat ka lahu chaT raha hai
insan ka insan gala kaT raha hai
Anvar Kaifi
ye to ho sakta hai ki donon ki manzil ek ho
phir bhi us ke ham-safar hone ki farmaish na ka
Anvar Kaifi
hue asir to phir umr bhar riha na hue
hamare gird talluq ka jal aisa tha
Anvar Mahmood Khalid
ek dhamake se na phaT jae kahin mera wajud
apna lawa aap bahar phenkta rahta hun main
Anvar Mahmood Khalid