hamein baada-kash-e-dard-e-tamanna
hamin par band hai mai-KHana dil ka
Anvar Moazzam
hujum-e-subh ki tanhaiyon mein Dub gae
wo qafile jo andheron ki anjuman se chale
Anvar Moazzam
kaun roya pas-e-diwar-e-chaman aaKHir-e-shab
kyun saba lauT gai rahguzar se puchho
Anvar Moazzam
na mila par na mila ishq ko andaz-e-junun
hum ne majnun ki bhi aashufta-sari dekhi hai
Anvar Moazzam
sab dikhate hain tera aks meri aankhon mein
hum zamane ko isi taur se mahbub hue
Anvar Moazzam
waqt jhume kahin bahke kahin tham jae kahin
khil uThen naqsh-e-qadam yun koi diwana chale
Anvar Moazzam
wo habib ho ki rahbar wo raqib ho ki rahzan
jo dayar-e-dil se guzre use ham-kalam kar lo
Anvar Moazzam