zamin hanpne lagti hai ek jagah ruk kar
main us ka hath baTata hun raqs karta hun
Anjum Saleemi
aarzu ki ye saza hai ki zamana hai KHilaf
un se milne ki KHuda jaane saza kya hogi
Anjum Siddiqui
dimagh un ke tajassus mein jism ghar mein raha
main apne ghar hi mein rahte hue safar mein raha
Anjum Siddiqui
fasl-e-gul aa gai hai ahl-e-junun
phir gareban ko tar tar karen
Anjum Siddiqui
hijr ki lazzaton ka kya kahna
wo na aaen meri dua hai ye
Anjum Siddiqui
ek tabassum hazar-ha aansu
ibtida wo thi intiha hai ye
Anjum Siddiqui
meri tanhai ka aalam na puchho
KHayal-e-dostan hai aur main hun
Anjum Siddiqui