koi bhi sajni kisi bhi sajan ki muntazir hai na muztarib hai
tamam baam aur dar bujhe hain kahin bhi raushan diya nahin hai
Anwar Aleemi
kabhi kabhi to ye dil mein sawal uThta hai
ki is judai mein kya us ne pa liya hoga
Anwar Anjum
hamare ishq aur un ke taghaful ka ye aalam hai
ki hum dil haar baiThe hain wo lene haar leTe hain
Anwar Barelvi
allah-re fart-e-shauq-e-asiri ki shauq mein
pahron uTha uTha ke salasil ko dekhna
Anwar Dehlvi
'anwar' ne badle jaan ke li jins-e-dard-e-dil
aur is pe naz ye ki ye sauda giran na tha
Anwar Dehlvi
e-tarah paDti hai nazar un ki
KHair dil ki nazar nahin aati
Anwar Dehlvi
garche kya kuchh the magar aap ko kuchh bhi na gina
ishq barham-zan-e-kashana-e-pindar raha
Anwar Dehlvi