meri miTTi se bahut KHush hain mere kuza-gar
waisa ban jata hun main jaisa banate hain mujhe
Anjum Saleemi
miT ke aasuda ho gaya hun main
KHak mein KHak-zad mil gaya hai
Anjum Saleemi
mujh se KHali hai mera aaina
aansuon se bhara hua hun main
Anjum Saleemi
mujhe pata hai ki barbaad ho chuka hun main
tu mera sog mana mujh ko sogwar na ka
Anjum Saleemi
patthar mein kaun jonk lagaega mere dost
dil hai to mubtala bhi kahin hona chahiye
Anjum Saleemi
purana zahr nae nam se mila hai mujhe
wo aastin nahin kenchuli badal raha tha
Anjum Saleemi
aushni bhi nahin hawa bhi nahin
man ka nemul-badal KHuda bhi nahin
Anjum Saleemi