sath barish mein liye phirte ho us ko 'anjum'
tum ne is shahr mein kya aag lagani hai koi
Anjum Saleemi
sabhi darwaze khule hain meri tanhai ke
sari duniya ko mayassar hai rifaqat meri
Anjum Saleemi
shab-e-jamal salamat rahen tere pari-zad
jinhen main KHwab sunata hun raqs karta hun
Anjum Saleemi
tere andar ki udasi ke mushabah hun main
KHal-o-KHad se nahin aawaz se pahchan mujhe
Anjum Saleemi
Thik se yaad bhi nahin ab to
ishq ne mujh mein kab qayam kiya
Anjum Saleemi
tujh se ye kaisa talluq hai jise jab chahun
KHatm kar deta hun aaghaz bhi kar leta hun
Anjum Saleemi
tum akele mein mile hi nahin warna tum ko
aur hi tarah ke ek shaKHs se milwata main
Anjum Saleemi