kisi tarah se main Tal jaun apni marzi se
so bar bar irada badal ke dekhta hun
Anjum Saleemi
kisi tarah se nazar mutmain nahin hoti
har ek shai ko dobara badal ke dekhta hun
Anjum Saleemi
kuchh to khinchi khinchi si thi saat visal ki
kuchh yun bhi fasle pe mujhe rakh diya gaya
Anjum Saleemi
mazarat raunde hue phulon se kar lun to chalun
muntazir shahr mein taKHir se aaya hua main
Anjum Saleemi
man ki dua na bap ki shafqat ka saya hai
aaj apne sath apna janam din manaya hai
Anjum Saleemi
main aaj KHud se mulaqat karne wala hun
jahan mein koi bhi mere siwa na rah jae
Anjum Saleemi
main andhere mein hun magar mujh mein
raushni ne jagah bana li hai
Anjum Saleemi