kitni pamal umangon ka hai madfan mat puchh
wo tabassum jo haqiqat mein fughan hota hai
Amir Usmani
meri zindagi ka hasil tere gham ki pasdari
tere gham ki aabru hai mujhe har KHushi se pyari
Amir Usmani
sabaq mila hai ye apnon ka tajraba kar ke
wo log phir bhi ghanimat hain jo parae hain
Amir Usmani
us ke wadon se itna to sabit hua us ko thoDa sa pas-e-talluq to hai
ye alag baat hai wo hai wada-shikan ye bhi kuchh kam nahin us ne wade kiye
Amir Usmani
ye qadam qadam balaen ye sawad-e-ku-e-jaanan
wo yahin se lauT jae jise zindagi ho piyari
Amir Usmani
zahiran toD liya hum ne buton se rishta
phir bhi sine mein sanam-KHana basa hai yaro
Amir Usmani
aas kya ab to umid-e-na-ummidi bhi nahin
kaun de mujh ko tasalli kaun bahlae mujhe
Amirullah Tasleem