taDapti dekhta hun jab koi shai
uTha leta hun apna dil samajh ka
Amirullah Tasleem
zamane se nirala hai urus-e-fikr ka jauban
jawan hoti hai ai 'taslim' jab ye pir hoti hai
Amirullah Tasleem
arbaad na kar bekas ka chaman bedard KHizan se kaun kahe
taraj na kar mera KHirman us barq-e-tapan se kaun kahe
Amjad hyderabadi
DhunDti hain jise meri aankhen
wo tamasha nazar nahin aata
Amjad hyderabadi
jholiyan sab ki bharti jati hain
dene wala nazar nahin aata
Amjad hyderabadi
aDe sukun se Dube the Dubne wale
jo sahilon pe khaDe the bahut pukare bhi
Amjad Islam Amjad
hamein hamari anaen tabah kar dengi
mukalme ka agar silsila nahin karte
Amjad Islam Amjad