اردو हिंदी
Dil pe wo waqt bhi kis darja giran hota hai | Shaahi Shayari
dil pe wo waqt bhi kis darja giran hota hai

Ghazal

Dil pe wo waqt bhi kis darja giran hota hai

Amir Usmani

;

dil pe wo waqt bhi kis darja giran hota hai
zabt jab daKHil-e-fariyaad-o-fughan hota hai

kaise batlaen ki wo dard kahan hota hai
KHun ban kar jo rag-o-pai mein rawan hota hai

ishq hi kab hai jo manus-e-zaban hota hai
dard hi kab hai jo mohtaj-e-bayan hota hai

jitni jitni sitam-e-yar se khata hai shikast
dil jawan aur jawan aur jawan hota hai

wah kya chiz hai ye shiddat-e-rabt-e-baham
bar-ha KHud pe mujhe tera guman hota hai

kitni pamal umangon ka hai madfan mat puchh
wo tabassum jo haqiqat mein fughan hota hai

ishq sar-ta-ba-qadam aatish-e-sozan hai magar
us mein shola na sharara na dhuan hota hai

kya ye insaf hai ai KHaliq-e-subh-e-gulshan
koi hansta hai koi girya-kunan hota hai

gham ki baDhti hui yurish se na ghabra 'amir'
gham bhi ek manzil-e-rahat ka nishan hota hai