gar yahi hai pas-e-adab-e-sukut
kis tarah fariyaad lab tak aaegi
Amirullah Tasleem
jaane de sabr o qarar o hosh ko
tu kahan ai be-qarari jaegi
Amirullah Tasleem
KHali sahi bala se tasalli to dil ko ho
rahne do samne mere saghar sharab ka
Amirullah Tasleem
kijiye aisa jahan paida jahan koi na ho
zarra-o-aKHtar zamin-o-asman koi na ho
Amirullah Tasleem
kya KHabar mujh ko KHizan kya chiz hai kaisi bahaar
aankhen kholin aa ke main ne KHana-e-sayyaad mein
Amirullah Tasleem
naseh KHata muaf sunen kya bahaar mein
hum iKHtiyar mein hain na dil iKHtiyar mein
Amirullah Tasleem
subh hoti hai sham hoti hai
umr yunhi tamam hoti hai
Amirullah Tasleem