ishq se baz aate hum diwane kya
thi samajh ki baat hum samjhe nahin
Amir Mausavi
aablon ka shikwa kya Thokaron ka gham kaisa
aadmi mohabbat mein sab ko bhul jata hai
Amir Usmani
aql thak kar lauT aai jada-e-alam se
ab junun aaghaz farmaega is anjam se
Amir Usmani
aqi hi kya raha hai tujhe mangne ke baad
bas ek dua mein chhuT gae har dua se hum
Amir Usmani
hamein aaKHirat mein 'amir' wahi umr kaam aai
jise kah rahi thi duniya gham-e-ishq mein ganwa di
Amir Usmani
ishq ke marahil mein wo bhi waqt aata hai
aafaten barasti hain dil sukun pata hai
Amir Usmani
ishq sar-ta-ba-qadam aatish-e-sozan hai magar
us mein shola na sharara na dhuan hota hai
Amir Usmani