اردو हिंदी
Ishq ke marahil mein wo bhi waqt aata hai | Shaahi Shayari
ishq ke marahil mein wo bhi waqt aata hai

Ghazal

Ishq ke marahil mein wo bhi waqt aata hai

Amir Usmani

;

ishq ke marahil mein wo bhi waqt aata hai
aafaten barasti hain dil sukun pata hai

aazmaishen ai dil saKHt hi sahi lekin
ye nasib kya kam hai koi aazmata hai

umr jitni baDhti hai aur ghaTti jati hai
sans jo bhi aata hai lash ban ke jata hai

aablon ka shikwa kya Thokaron ka gham kaisa
aadmi mohabbat mein sab ko bhul jata hai

kar-zar-e-hasti mein izz-o-jah ki daulat
bhik bhi nahin milti aadmi kamata hai

apni qabr mein tanha aaj tak gaya hai kaun
daftar-e-amal 'amir' sath sath jata hai