kisi rais ki mahfil ka zikr hi kya hai
KHuda ke ghar bhi na jaenge bin bulae hue
Ameer Minai
lae kahan se us ruKH-e-raushan ki aab-o-tab
beja nahin jo sharm se hai aab aab shama
Ameer Minai
mang lun tujh se tujhi ko ki sabhi kuchh mil jae
sau sawalon se yahi ek sawal achchha hai
Ameer Minai
masjid mein bulate hain hamein zahid-e-na-fahm
hota kuchh agar hosh to mai-KHane na jate
Ameer Minai
mauquf jurm hi pe karam ka zuhur tha
bande agar qusur na karte qusur tha
Ameer Minai
mila kar KHak mein bhi hae sharm un ki nahin jati
nigah nichi kiye wo samne madfan ke baiThe hain
Ameer Minai
mili hai duKHtar-e-raz laD-jhagaD ke qazi se
jihad kar ke jo aurat mile haram nahin
Ameer Minai