pahle to mujhe kaha nikalo
phir bole gharib hai bula lo
Ameer Minai
pahlu mein mere dil ko na ai dard kar talash
muddat hui gharib watan se nikal gaya
Ameer Minai
phir baiThe baiThe wada-e-wasl us ne kar liya
phir uTh khaDa hua wahi rog intizar ka
Ameer Minai
putliyan tak bhi to phir jati hain dekho dam-e-naza
waqt paDta hai to sab aankh chura jate hain
Ameer Minai
puchha na jaega jo watan se nikal gaya
be-kar hai jo dant dahan se nikal gaya
Ameer Minai
qarib hai yaro roz-e-mahshar chhupega kushton ka KHun kyunkar
jo chup rahegi zaban-e-KHanjar lahu pukarega aastin ka
Ameer Minai
aste aur tawazoa mein hai rabt-e-qalbi
jis tarah lam alif mein hai alif lam mein hai
Ameer Minai