kahte ho ki hamdard kisi ka nahin sunte
main ne to raqibon se suna aur hi kuchh hai
Ameer Minai
KHanjar chale kisi pe taDapte hain hum 'amir'
sare jahan ka dard hamare jigar mein hai
Ameer Minai
KHuda ne nek surat di to sikho nek baaten bhi
bure hote ho achchhe ho ke ye kya bad-zabani hai
Ameer Minai
KHushamad ai dil-e-betab is taswir ki kab tak
ye bola chahti hai par na bolegi na boli hai
Ameer Minai
KHushk seron tan-e-shaer ka lahu hota hai
tab nazar aati hai ek misra-e-tar ki surat
Ameer Minai
KHun-e-nahaq kahin chhupta hai chhupae se 'amir'
kyun meri lash pe baiThe hain wo daman Dale
Ameer Minai
KHwab mein aankhen jo talwon se malin
bole uff uff panw mera chhil gaya
Ameer Minai