ho gaya band dar-e-mai-kada kya qahr hua
shauq-e-pa-bos-e-hasinan jo tujhe tha ai dil
Ameer Minai
hue namwar be-nishan kaise kaise
zamin kha gai aasman kaise kaise
Ameer Minai
in shoKH hasinon pe jo mail nahin hota
kuchh aur bala hoti hai wo dil nahin hota
Ameer Minai
jis ghuncha-lab ko chheD diya KHanda-zan hua
jis gul pe hum ne rang jamaya chaman hua
Ameer Minai
jo chahiye so mangiye allah se 'amir'
us dar pe aabru nahin jati sawal se
Ameer Minai
kaba-e-ruKH ki taraf paDhni hai aankhon se namaz
chahiye gard-e-nazar bahr-e-tayammum mujh ko
Ameer Minai
kabab-e-siKH hain hum karwaTen har-su badalte hain
jal uThta hai jo ye pahlu to wo pahlu badalte hain
Ameer Minai