gard uDi aashiq ki turbat se to jhunjhla kar kaha
wah sar chaDhne lagi panw ki Thukrai hui
Ameer Minai
girah se kuchh nahin jata hai pi bhi le zahid
mile jo muft to qazi ko bhi haram nahin
Ameer Minai
hath rakh kar mere sine pe jigar tham liya
tum ne is waqt to girta hua ghar tham liya
Ameer Minai
hai wasiyyat ki kafan mujh ko isi ka dena
hath aa jae jo utra hua pairahan-e-dost
Ameer Minai
hum jo pahunche to lab-e-gor se aai ye sada
aaiye aaiye hazrat bahut aazad rahe
Ameer Minai
haTao aaina ummid-war hum bhi hain
tumhaare dekhne walon mein yar hum bhi hain
Ameer Minai
hilal o badr donon mein 'amir' un ki tajalli hai
ye KHaka hai jawani ka wo naqsha hai laDakpan ka
Ameer Minai