zamana guzra hawa phir se yaad aane laga
na jaane kaun mujhe KHwab phir dikhane laga
Amber Waseem Allahabadi
numud-e-rang-o-bu ne mar Dala
usi ki aarzu ne mar Dala
Ameen Hazin
aste ki unch nich se waqif to hun 'amin'
Thokar qadam qadam pe magar kha raha hun main
Ameen Hazin
tujh ko teri hi aankh se dekh rahi hai kaenat
baat ye raaz ki nahin apna KHud ehtiram ka
Ameen Hazin
yun dil hai sar-ba-sajda kisi ke huzur mein
jaise ki ghota-zan ho koi bahr-e-nur mein
Ameen Hazin
ab anasir mein tawazun DhunDne jaen kahan
hum jise hamraaz samjhe pasban nikla tera
Ameen Rahat Chugtai
hum ek jaan hi sahi dil to apne apne the
kahin kahin se fasana juda to hona tha
Ameen Rahat Chugtai