اردو हिंदी
Kisi makan ke dariche ko wa to hona tha | Shaahi Shayari
kisi makan ke dariche ko wa to hona tha

Ghazal

Kisi makan ke dariche ko wa to hona tha

Ameen Rahat Chugtai

;

kisi makan ke dariche ko wa to hona tha
mujhe kisi na kisi din sada to hona tha

jise KHamida saron se mile qad-o-qamat
use kisi na kisi din KHuda to hona tha

main jaanta tha jabinon pe bal paDenge magar
qalam ka qarz tha aaKHir ada to hona tha

ye kya zarur pata puchhte phiren us ka
mila hi yun tha wo jaise juda to hona tha

wo pichhli raat ki KHushbu rachi rachi si faza
sahar qarib thi waqf-e-dua to hona tha

hum ek jaan hi sahi dil to apne apne the
kahin kahin se fasana juda to hona tha

main aaina tha chhupata kisi ko kya rahat
wo dekhta mujhe jab bhi KHafa to hona tha