pairwi se mumkin hai kab rasai manzil tak
naqsh-e-pa miTane ko gard-e-rah kafi hai
Ambareen Haseeb ambar
talluq jo bhi rakkho soch lena
ki hum rishta nibhana jaante hain
Ambareen Haseeb ambar
tashhir to maqsud nahin qissa-e-dil ki
so tujh ko likha teri nishani nahin likkhi
Ambareen Haseeb ambar
tere firaq mein dil ka ajib aalam hai
na kuchh KHumar se baDh kar na kuchh KHumar se kam
Ambareen Haseeb ambar
tum ne kis kaifiyat mein muKHatab kiya
kaif deta raha lafz-e-'tu' der tak
Ambareen Haseeb ambar
uD gae sare parinde mausamon ki chah mein
intizar un ka magar buDhe shajar karte rahe
Ambareen Haseeb ambar
umr-bhar ke sajdon se mil nahin saki jannat
KHuld se nikalne ko ek gunah kafi hai
Ambareen Haseeb ambar