jo tum ho to ye kaise man lun main
ki jo kuchh hai yahan bas ek guman hai
Ambareen Haseeb ambar
kya jaaniye kya soch ke afsurda hua dil
main ne to koi baat purani nahin likkhi
Ambareen Haseeb ambar
kya KHub tamasha hai ye kar-gah-e-hasti
har jism salamat hai har zat adhuri hai
Ambareen Haseeb ambar
lafz ki hurmat muqaddam hai dil-o-jaan se mujhe
sach taaruf hai mere har sher har tahrir ka
Ambareen Haseeb ambar
manus baam-o-dar se nazar puchhti rahi
un mein base wo log purane kahan gae
Ambareen Haseeb ambar
mohabbat aur qurbani mein hi tamir muzmar hai
dar-o-diwar se ban jae ghar aisa nahin hota
Ambareen Haseeb ambar
mujh mein ab main nahin rahi baqi
main ne chaha hai is qadar tum ko
Ambareen Haseeb ambar