اردو हिंदी
Numud-e-rang-o-bu ne mar Dala | Shaahi Shayari
numud-e-rang-o-bu ne mar Dala

Ghazal

Numud-e-rang-o-bu ne mar Dala

Ameen Hazin

;

numud-e-rang-o-bu ne mar Dala
usi ki aarzu ne mar Dala

na duniya hi ka rakkha aur na din ka
dil-e-madhosh tu ne mar Dala

takallum ka fusun allahu-akbar
kisi ki guftugu ne mar Dala

na rudad-e-hubab-e-zindagi puchh
KHiram-e-ab-ju ne mar Dala

KHuda waiz se samjhe hashr ke din
hamein us be-wazu ne mar Dala

zamane ke 'amin' munh kaun aata
KHayal-e-abru ne mar Dala