اردو हिंदी
Afsana-e-hayat ko dohra raha hun main | Shaahi Shayari
afsana-e-hayat ko dohra raha hun main

Ghazal

Afsana-e-hayat ko dohra raha hun main

Ameen Hazin

;

afsana-e-hayat ko dohra raha hun main
yun apni umr-e-rafta ko lauTa raha hun main

ek ek qadam pe dars-e-wafa de raha hun main
ye kis ki justuju hai kidhar ja raha hun main

ya rab kisi ka dam-e-hasin muntazir na ho
par shauq ke lage hain uDa ja raha hun main

is sehr-e-rang-o-bu ne to diwana kar diya
daman ke tar tar ko uljha raha hun main

soz-e-darun-e-sina ko naghmon mein Dhaal kar
saz-e-nafas ke tar ko barma raha hun main

rah-e-talab mein dekh mere dil ki hasraten
saye mein pa-e-KHizr ko sahla raha hun main

raste ki unch nich se waqif to hun 'amin'
Thokar qadam qadam pe magar kha raha hun main