ah ke talib hain par be-rah paDte hain qadam
dekhiye kya DhunDhte hain aur kya pate hain hum
Altaf Hussain Hali
ona hai ye ki aap bhi hanste the warna yan
tan-e-raqib dil pe kuchh aisa giran na tha
Altaf Hussain Hali
sada ek hi ruKH nahin naw chalti
chalo tum udhar ko hawa ho jidhar ki
Altaf Hussain Hali
saKHt mushkil hai shewa-e-taslim
hum bhi aaKHir ko ji churane lage
Altaf Hussain Hali
shahd-o-shakar se shirin urdu zaban hamari
hoti hai jis ke bole miThi zaban hamari
Altaf Hussain Hali
tazir-e-jurm-e-ishq hai be-sarfa mohtasib
baDhta hai aur zauq-e-gunah yan saza ke baad
Altaf Hussain Hali
tazkira dehli-e-marhum ka ai dost na chheD
na suna jaega hum se ye fasana hargiz
Altaf Hussain Hali