اردو हिंदी
Jite ji maut ke tum munh mein na jaana hargiz | Shaahi Shayari
jite ji maut ke tum munh mein na jaana hargiz

Ghazal

Jite ji maut ke tum munh mein na jaana hargiz

Altaf Hussain Hali

;

jite ji maut ke tum munh mein na jaana hargiz
dosto dil na lagana na lagana hargiz

ishq bhi tak mein baiTha hai nazar-bazon ki
dekhna sher se aankhen na laDana hargiz

hath malne na hon piri mein agar hasrat se
to jawani mein na ye rog basana hargiz

jitne raste the tere ho gae viran ai ishq
aa ke viranon mein ab ghar na basana hargiz

kuch sab kar gae dilli se tere qadr-shanas
qadr yan rah ke ab apni na ganwana hargiz

tazkira dehli-e-marhum ka ai dost na chheD
na suna jaega hum se ye fasana hargiz

DhunDta hai dil-e-shorida bahane mutrib
dard-angez ghazal koi na gana hargiz

sohbaten agli musawwir hamein yaad aaengi
koi dilchasp muraqqa na dikhana hargiz

le ke dagh aaega sine pe bahut ai sayyah
dekh is shahr ke khanDaron mein na jaana hargiz

chappe chappe pe hain yan gauhar-e-yakta tah-e-KHak
dafn hoga kahin itna na KHazana hargiz

miT gae tere miTane ke nishan bhi ab to
ai falak is se ziyaada na miTana hargiz

wo to bhule the hamein hum bhi unhen bhul gae
aisa badla hai na badlega zamana hargiz

hum ko gar tu ne rulaya to rulaya ai charKH
hum pe ghairon ko to zalim na hansana hargiz

aaKHiri daur mein bhi tujh ko qasam hai saqi
bhar ke ek jam na pyason ko pilana hargiz

baKHt soe hain bahut jag ke ai daur-e-zaman
na abhi nind ke maton ko jagana hargiz

kabhi ai ilm o hunar ghar tha tumhaara dilli
hum ko bhule ho to ghar bhul na jaana hargiz

shairi mar chuki ab zinda na hogi yaro
yaad kar kar ke use ji na kuDhana hargiz

'ghaalib' o 'shefta' o 'nayyar' o 'azurda' o 'zauq'
ab dikhaega ye shaklen na zamana hargiz

'momin' o 'alwi' o 'sahbai' o 'mamnun' ke baad
sher ka nam na lega koi dana hargiz

kar diya mar ke yaganon ne yagana hum ko
warna yan koi na tha hum mein yagana hargiz

'dagh' o 'majruh' ko sun lo ki phir is gulshan mein
na sunega koi bulbul ka tarana hargiz

raat aaKHir hui aur bazm hui zer-o-zabar
ab na dekhoge kabhi lutf-e-shabana hargiz

bazm-e-matam to nahin bazm-e-suKHan hai 'haali'
yan munasib nahin ro ro ke rulana hargiz