pi ke jite hain ji ke pite hain
hum ko raghbat hai aise jine se
Altaf Mashhadi
Tapke jo ashk walwale shadab ho gae
kitne ajib ishq ke aadab ho gae
Altaf Mashhadi
as itna yaad hai tujh se mila tha raste mein
phir apne aap se rahna paDa juda barson
Altaf Parwaz
osa aankhon ka jo manga to wo hans kar bole
dekh lo dur se khane ke ye baadam nahin
Amanat Lakhnavi
ji chahta hai sane-e-qudrat pe hun nisar
but ko biTha ke samne yaad-e-KHuda karun
Amanat Lakhnavi
kis tarah 'amanat' na rahun gham se main dil-gir
aankhon mein phira karti hai ustad ki surat
Amanat Lakhnavi
sanwle tan pe qaba hai jo tere bhaari hai
lala kahta hai chaman mein ki ye 'girdhaari' hai
Amanat Lakhnavi