tum aise kaun KHuda ho ki umr bhar tum se
umid bhi na rakhun na-umid bhi na rahun
Altaf Hussain Hali
tum ko hazar sharm sahi mujh ko lakh zabt
ulfat wo raaz hai ki chhupaya na jaega
Altaf Hussain Hali
us ke jate hi ye kya ho gai ghar ki surat
na wo diwar ki surat hai na dar ki surat
Altaf Hussain Hali
wo ummid kya jis ki ho intiha
wo wada nahin jo wafa ho gaya
Altaf Hussain Hali
yaran-e-tez-gam ne mahmil ko ja liya
hum mahw-e-nala-e-jaras-e-karwan rahe
Altaf Hussain Hali
yahi hai ibaadat yahi din o iman
ki kaam aae duniya mein insan ke insan
Altaf Hussain Hali
phir dayar-e-hind ko aabaad karne ke liye
jhum kar uTTho watan aazad karne ke liye
Altaf Mashhadi