dil se KHayal-e-dost bhulaya na jaega
sine mein dagh hai ki miTaya na jaega
Altaf Hussain Hali
faraghat se duniya mein har dam na baiTho
agar chahte ho faraghat ziyaada
Altaf Hussain Hali
farishte se baDh kar hai insan banna
magar is mein lagti hai mehnat ziyaada
Altaf Hussain Hali
gul-o-gulchin ka gila bulbul-e-KHush-lahja na kar
tu giraftar hui apni sada ke bais
Altaf Hussain Hali
'haali' suKHan mein 'shefta' se mustafid hai
'ghaalib' ka mo'taqid hai muqallid hai 'mir' ka
Altaf Hussain Hali
hai justuju ki KHub se hai KHub-tar kahan
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
Altaf Hussain Hali
hum jis pe mar rahe hain wo hai baat hi kuchh aur
aalam mein tujh se lakh sahi tu magar kahan
Altaf Hussain Hali