yun to sayyad bhi ho mirza bhi ho afghan bhi ho
tum sabhi kuchh ho batao musalman bhi ho
Allama Iqbal
zamam-e-kar agar mazdur ke hathon mein ho phir kya
tariq-e-koh-kan mein bhi wahi hile hain parwezi
Allama Iqbal
zamana aql ko samjha hua hai mishal-e-rah
kise KHabar ki junun bhi hai sahib-e-idrak
Allama Iqbal
zamir-e-lala mai-e-lal se hua labrez
ishaara pate hi sufi ne toD di parhez
Allama Iqbal
zindagani ki haqiqat kohkan ke dil se puchh
ju-e-shir o tesha o sang-e-giran hai zindagi
Allama Iqbal
ujhti aankhon mein tere KHwab ka bosa rakkha
raat phir hum ne andheron mein ujala rakkha
Alok Mishra
ek patta hun shaKH se bichhDa
jaane bah kar main kis disha jaun
Alok Mishra