sun raha hun ki wo aaenge hansane mujh ko
aansuo tum bhi zara rang jamae rakhna
Alok Yadav
waiz safar to mera bhi tha ruh ki taraf
par kya karun ki rah mein ye jism aa paDa
Alok Yadav
yun nibhata hun main rishte 'alok'
be-gunahi ki saza ho jaise
Alok Yadav
gum rahoge kab tak apni zat hi mein
zindagi se bhi kabhi aankhen milao
Alqama Shibli
kyun laghzish-e-pa meri malamat ka hadaf hai
jine ka saliqa mujhe baKHsha hai isi ne
Alqama Shibli
us manzil-e-hayat mein ab gamzan hai dil
'shibli'! jahan kisi ki bhi aawaz-e-pa nahin
Alqama Shibli
ye kya ki faqat apni hi taswir banao
ai naqsh-garo wusat-e-fan kuchh to dikhao
Alqama Shibli