dekh qasid ko mere yar ne puchha 'taban'
kya mere hijr mein jita hai wo ghamnak hanuz
Taban Abdul Hai
aaina ru-ba-ru rakh aur apni chhab dikhana
kya KHud-pasandiyan hain kya KHud-numaiyan hain
Taban Abdul Hai
ura na maniyo main puchhta hun ai zalim
ki be-kason ke satae se kuchh bhala bhi hai
Taban Abdul Hai
aad muddat ke mah-ru aaya
kyun na us ke gale lagun 'taban'
Taban Abdul Hai
ai mard-e-KHuda ho tu parastar butan ka
mazhab mein mere kufr hai inkar butan ka
Taban Abdul Hai
agar tu shohra-e-afaq hai to tere bandon mein
hamein bhi jaanta hai KHub ek aalam miyan-sahi
Taban Abdul Hai
aatish-e-ishq mein jo jal na maren
ishq ke fan mein wo anari hain
Taban Abdul Hai
aata nahin wo yar-e-sitamgar to kya hua
koi gham to us ka dil se hamare juda nahin
Taban Abdul Hai
aata hai mohtasib pae-tazir mai-kasho
pagDi ko us ki phenk do daDhi ko lo ukhaD
Taban Abdul Hai