tu kaun hai ai waiz jo mujh ko Daraata hai
main ki bhi hain to ki hain allah ki taqsiren
Taban Abdul Hai
tu bhali baat se hi meri KHafa hota hai
aah kya chahna aisa hi bura hota hai
Taban Abdul Hai
tum is qadar jo niDar ho ke zulm karte ho
butan hamara tumhaara koi KHuda bhi hai
Taban Abdul Hai
teri baat lawe jo paigham-bar
wahi hai mere haq mein ruh-ul-amin
Taban Abdul Hai
tak raha hai ye koi sone ki chiDiya aa phanse
dam-e-subha le ke zahid girya-e-miskin ki tarah
Taban Abdul Hai
'taban' zi-bas hawa-e-junun sar mein hai mere
ab main hun aur dasht hai ye sar hai aur pahaD
Taban Abdul Hai
sune kyun-kar wo labbaik-e-haram ko
jise naqus ki aae sada KHush
Taban Abdul Hai
ura na maniyo main puchhta hun ai zalim
ki be-kason ke satae se kuchh bhala bhi hai
Taban Abdul Hai
ghazalon ko teri aankhen se kuchh nisbat nahin hargiz
ki ye aahu hain shahri aur we wahshi hain jangal ke
Taban Abdul Hai