hawa bhi ishq ki lagne na deta main use hargiz
agar is dil pe hota hae kuchh bhi iKHtiyar apna
Taban Abdul Hai
hijr mein us but-e-kafir ke taDapte hain paDe
ahl-e-zunnar kahin sahib-e-islam kahin
Taban Abdul Hai
ho ruh ke tain jism se kis tarah mohabbat
tair ko qafas se bhi kahin ho hai mohabbat
Taban Abdul Hai
iman o din se 'taban' kuchh kaam nahin hai hum ko
saqi ho aur mai ho duniya ho aur hum hon
Taban Abdul Hai
in buton ko to mere sath mohabbat hoti
kash banta main barahman hi musalman ke ewaz
Taban Abdul Hai
jab talak rahe jita chahiye hanse bole
aadmi ko chup rahna maut ki nishani hai
Taban Abdul Hai
jis ka gora rang ho wo raat ko khilta hai KHub
raushnai shama ki phiki nazar aati hai subh
Taban Abdul Hai
kai bari bina ho jis ki phir kahte hain TuTega
ye hurmat jis ki ho ai shaiKH kya tera wo makka hai
Taban Abdul Hai
kai faqon mein id aai hai
aaj tu ho to jaan ham-aghosh
Taban Abdul Hai