ai mard-e-KHuda ho tu parastar butan ka
mazhab mein mere kufr hai inkar butan ka
Taban Abdul Hai
agar tu shohra-e-afaq hai to tere bandon mein
hamein bhi jaanta hai KHub ek aalam miyan-sahi
Taban Abdul Hai
aatish-e-ishq mein jo jal na maren
ishq ke fan mein wo anari hain
Taban Abdul Hai
aata nahin wo yar-e-sitamgar to kya hua
koi gham to us ka dil se hamare juda nahin
Taban Abdul Hai
aata hai mohtasib pae-tazir mai-kasho
pagDi ko us ki phenk do daDhi ko lo ukhaD
Taban Abdul Hai
aaine ko teri surat se na ho kyun kar hairat
dar o diwar tujhe dekh ke hairan hai aaj
Taban Abdul Hai
aaina ru-ba-ru rakh aur apni chhab dikhana
kya KHud-pasandiyan hain kya KHud-numaiyan hain
Taban Abdul Hai
hamare mai-kade mein hain jo kuchh ki niyyaten zahir
kab is KHubi se ai zahid tera bait-e-haram hoga
Taban Abdul Hai
haram ko chhoD rahun kyun na but-kade mein shaiKH
ki yan har ek ko hai martaba KHudai ka
Taban Abdul Hai