garm az-bas-ki hai bazar-e-butan ai zahid
rashk se TukDe hua hai hajar-aswad bhi
Taban Abdul Hai
ek bulbul bhi chaman mein na rahi ab ki fasal
zulm aisa hi kiya tu ne ai sayyaad ki bas
Taban Abdul Hai
dun sari KHudai ko ewaz un ke main 'taban'
koi mujh sa bata de tu KHaridar butan ka
Taban Abdul Hai
duniya ki nek o bad se mujhe kuchh KHabar nahin
itna nahin jahan main koi be-KHabar ki hum
Taban Abdul Hai
dil ki hasrat na rahi dil mein mere kuchh baqi
ek hi tegh laga aisi ai jallad ki bas
Taban Abdul Hai
dekh qasid ko mere yar ne puchha 'taban'
kya mere hijr mein jita hai wo ghamnak hanuz
Taban Abdul Hai
dard-e-sar hai KHumar se mujh ko
jald le kar sharab aa saqi
Taban Abdul Hai
hai kya sabab ki yar na aaya KHabar ke tain
shayad kisi ne haal hamara kaha nahin
Taban Abdul Hai
aad muddat ke mah-ru aaya
kyun na us ke gale lagun 'taban'
Taban Abdul Hai