kabhu jo shaiKH dikhaun main apne but ke tain
ba-rabb-e-kaba tujhe hasrat-e-haram na rahe
Shaikh Zahuruddin Hatim
kabhu pahunchi na us ke dil talak rah hi mein thak baiThi
baja is aah-e-be-tasir par tasir hansti hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
kabhu tu ro to us ko KHak upar ja ke ai laila
ki bin pani jangal mein ruh majnun ki bhaTakti hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
kahan hai dil jo kahun howe aa ke diwana
ki us ki zulf ki KHali hai is ghaDi zanji
Shaikh Zahuruddin Hatim
kahen hum bahr-e-be-payan-e-gham ki mahiyat kis se
na lahron se koi waqif na koi thah jaane hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
kaho to kis tarah aawe wahan nind
jahan KHurshid-ru ho aa ke ham-KHwa
Shaikh Zahuruddin Hatim
kaleja munh ko aaya aur nafas karne laga tangi
hua kya jaan ko meri abhi to thi bhali-changi
Shaikh Zahuruddin Hatim
kapDe safed dho ke jo pahne to kya hua
dhona wahi jo dil ki siyahi ko dhoiye
Shaikh Zahuruddin Hatim
kesar mein is tarah se aaluda hai sarapa
sunte the hum so dekha to shaKH-e-zafaran hai
Shaikh Zahuruddin Hatim